Aaj kal ka dor internet ka dor hai. Internet ne insani zindagi ko asaan banaya hai, lekin saath hi kai fitnon ka zariya bhi bana hai. In fitnon mein se ek sabse khatarnaak fitna porn videos ka hai, jo aksar shaitani waswasay ke zariye insan ko gumrah karta hai. Yeh aadat nasha ban kar insaan ke zehan aur rooh ko tabah kar deti hai. Har din Facebook, Instagram aur doosri websites par adult ads ya videos nazar aati hain, jo na chahte hue bhi insan ke zehan mein waswasa daal deti hain. Aj hum is article mein dekhenge ke Qurani aur Sunnati tareeqon se kis tarah hum porn videos ke waswason se nijaat pa sakte hain, apne zehan ko paak bana sakte hain, aur roohani tor par apne aap ko mazboot bana sakte hain. Porn Addiction - Shaitani Waswasa ka Ek Roop Porn dekhne ki aadat aik shaitani chaal hai. Shaytan insan ko pehle ek choti video dikha kar us ke zehan mein shauq paida karta hai. Aik dafa agar insan ne is raaste par qadam rakh diya to har waqt us ka zehan usi taraf khinchta hai. Y...
Islamic Wazifa for Waswasay – Qurani Aur Sunnati Tareeqe: 1. Surah Naas aur Surah Falaq: Yeh dono suratein "Mu'awwizatain" kehlati hain. Inka taluq seedha shaitani asraat aur buri nazar se bachao se hai. Har roz subah o shaam inko 3 martaba parhna sunnat hai. "Qul a‘uzu birabbin naas..." — Surah Naas (114) "Qul a‘uzu birabbil falaq..." — Surah Falaq (113) 2. Ayat-ul-Kursi: Yeh Qurani ayat Surat Al-Baqarah ki ayat 255 hai. Is ki tilawat har namaz ke baad karna waswasay aur shaitaan ko door karta hai. “Allahu la ilaha illa Huwa..." — Al-Baqarah: 255 3. Istighfar (Astaghfirullah): Waswasay mein ghalti se amal ho jaye to foran istighfar karein. Rozana 100 martaba "Astaghfirullah" parhna roohani bechaini ko kam karta hai. 4. Darood Sharif: Darood Shareef parhna na sirf barakat deta hai balke insaan ke dil o zehan ko bhi pak karta hai. Kam az kam 11 martaba rozana parhein. 5. Namaz aur Wazoo ki Paaband: Shaitaan un logon ko zyada waswasa ...