Aaj kal ka dor internet ka dor hai. Internet ne insani zindagi ko asaan banaya hai, lekin saath hi kai fitnon ka zariya bhi bana hai. In fitnon mein se ek sabse khatarnaak fitna porn videos ka hai, jo aksar shaitani waswasay ke zariye insan ko gumrah karta hai. Yeh aadat nasha ban kar insaan ke zehan aur rooh ko tabah kar deti hai. Har din Facebook, Instagram aur doosri websites par adult ads ya videos nazar aati hain, jo na chahte hue bhi insan ke zehan mein waswasa daal deti hain.
Aj hum is article mein dekhenge ke Qurani aur Sunnati tareeqon se kis tarah hum porn videos ke waswason se nijaat pa sakte hain, apne zehan ko paak bana sakte hain, aur roohani tor par apne aap ko mazboot bana sakte hain.
Porn Addiction - Shaitani Waswasa ka Ek Roop Porn dekhne ki aadat aik shaitani chaal hai. Shaytan insan ko pehle ek choti video dikha kar us ke zehan mein shauq paida karta hai. Aik dafa agar insan ne is raaste par qadam rakh diya to har waqt us ka zehan usi taraf khinchta hai. Yeh asal mein waswasa hota hai jo dikhne mein "entertainment" lagta hai, lekin andar se roohani taur par barbaadi laata hai.
Qurani Ayat jo Porn ke Waswason se Bachati Hain
Surah An-Nur (24:30-31):
"Mominon se keh do ke apni nigahon ko jhuka kar rakhein..." Quran humein sab se pehle nigahon ki hifazat ka hukm deta hai. Nigah ka pehla war hi waswasa ban jata hai.
Surah Naas:
"Main panaah maangta hoon us Rabb ki jo logon ka Maalik hai..." Shaitani waswason se bachne ke liye rozana Surah Naas ka tilawat karna behtareen tareeqa hai.
Ayat-ul-Kursi (Surah Baqarah 2:255): Rozana is ki tilawat se zehni aur roohani tahafuz milta hai. Is se shaitani asraat door hote hain.
Islamic Wazifa for Porn Waswasa
Fajr ke baad 3 martaba Surah Falaq, Surah Naas aur Ayat-ul-Kursi parh kar apne upar dam karein.
Har waqt wuzu mein rehne ki koshish karein. Wuzu se roohani taqat milti hai.
Jab bhi waswasa aaye, foran “A’oozu billahi min ash-shaytaan ir-rajeem” parh kar Allah se panaah maangain.
Practical Steps ke Saath Roohani Ilaj
Mobile ka usage mehdood karein. Zyada waqt real-life activities mein guzarein.
Har adult content wali website ko block karein (parental controls ya ad blockers ka istemal karein).
Islamic lectures aur Quran ki tilawat ko routine ka hissa banayein.
Raat mein jaldi sojaayein, kyunke akela waqt aur der tak jagna bhi waswason ko barhawa deta hai.
Aakhri Naseehat Porn addiction sirf aik aisi burai nahi jo physical health ko affect karti hai, balke yeh roohani taur par bhi insaan ko kamzor bana deti hai. Shaytan ke waswason ka asar utarta nahi jab tak insan Allah se na jure. Quran aur Sunnat mein har burai ka ilaj hai, bas zarurat hai amal karne ki.
"Jo shakhs Allah ke zikr se dil ko roshan rakhta hai, us par shaitan ka koi zor nahi chal sakta."
Agar aap ya aapka koi qaribi insaan is mushkil ka shikar hai, to is Qurani tareeqe ko apnayein aur roohani taur par apne aap ko mazboot banaayein.

.png)
Comments
Post a Comment